Thursday, September 22, 2005

'Rishtey'

Kuch rishtey bante nahi
Kuch hum banate nahi
Kuch ban kar bigad jaate hain
Jinhe hum sanwar paate nahi
Hote hain jo dil ke kareeb,
Jaane se unke hoti hai taqleef
par rok unhe sakte nahi
saath reh jaati hai bas umeed
yunhi chalta hai carvan zindagi ka
koi bhi ise rok paaya nahi
kahin par Milan, kahin par judai
yeh baat kyun ab tak samajh na aayi…
kiska hai ye intezaar dil ko
ke nadan yeh samajhta nahi
jaane wale kab laut kar aaye hain
woh apne kab the,
woh to paraye hain
rishtey bante hain, toot jaate hain
kuch Kathi mithi yaadein chod jaate hain
sanjo lo mithi yaadein sapno mein
zindagi guzar jayegi bas aise hi palon mein
samajhte hain hum bhi shayad
barikiyan in rishton ki
Phir kyun inki udhed bun se
hum nikal paate nahi…


This one is too close to heart.. what started as a jsut a time kill with a friend back in college developed into something so meaningful we had never thought it would be that good... that was 'Rishtey' .. this one is 'Rishtey revised'... I didn't remember what we had composed .. Akshay reminded me.. felt like giving it form again and this is what I came up with, kuch purana, kuch naya, but the same essence...

4 Comments:

At 3:02 PM , Blogger reshu said...

I am not too much into poetry etc but from watever lil i know there seems to depth and solitude in your word

Keep up the good work

 
At 4:05 AM , Blogger Nitu said...

hey neetu,

cool ya u to write amazing poems ya...dil ko chu liya esp this one has alot a lot which went untold in those lines....hey its a master piece keep it has loads of depth....

 
At 8:58 AM , Blogger Amit Agrawal said...

really very good poem.

 
At 11:06 AM , Blogger Prateet said...

Tujhe mohabbat karna nahi aata
Mujhe mohabbat ke siva kuch nahi aata
Zindagi jeene ke bas yahi do tarike hai Ghalib,
Ek tujhe nahi aata, ek mujhe nahi aata.

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home