Thursday, September 22, 2005

Tamanna

Ek tinke se the pade hue,
Apni hi jag mein khoye hue,
Ek aandhi aayi aur uda le gayi
Ek duniya nayi usne humein dikhlayi…
Kaash koi woh duniya phir mujhe lauta de
Kaash koi woh waqt phir mujhe lauta de
Sab haseen tha tab, aisa yakeen hai ab
Kaash koi woh sapne phir mujhe dikha de
Chale the ghar se door, hosla tha dil mein mazboot
Khai thi ye kasam, haarenge na kabhi hum
Kaash koi woh zazba phir mujhe lauta de.
Nikale the ek nai dagar par, na koi tha humein dar
Kaash koi woh himmat phir mujhe lauta de
Baith ti hoon sochne ab,
To lagta hai kahan badla hai jag
Wahi aandhi hai ab , jo thi tab
To kyun is baar hai mujhe itna gam…
Kyun hai chah us duniya ki,
Jahan aankh maine pehali baar kholi thi
Kyun na main bhi aandhi ban jaaon,
Jab bhi man kare ud jaaon….


kabhi kabhi man aise hi kuch sochta hai.. It was on one of these times that I wrote this one... Was just browsing through mails and it kind of became nostalgic , started missing the place where I started my new life-Bangalore.. till the time I was there I used to crib, where am I... But now that I am far away and know that it will never be home for me again...I MISS it... a lot more than I thought I ever would...

3 Comments:

At 8:19 PM , Blogger Hardeep said...

Beautiful! Can feel ur sense of dislocation. Is it that bad in the US?

 
At 1:14 PM , Blogger Nuts said...

hey,
hi... thanks... Its not bad at all.. just a moment which was bad!!

 
At 11:00 AM , Blogger Prateet said...

‎"Ye khwaaisho ka kaafila bhi Ajeeb Hi Hai..,
Aksar wahin se Guzarta Hai,
jahaa Raaste Nahi Hote.."

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home